En vidéo : Ramadan Health Tips In Hindi / Urdu || Suhoor and Iftar Food Tips For Hot Summer Ramadan 2017

☀⏳☀ This video is about Ramadan health tips In Hindi / Urdu Language. These Suhoor and Iftar Food Tips For Hot Summer Ramadan 2017 will help you overcome thirst.
=====================
☀⏳☀ Ramadan / ramzan al mubarak mein sakht garmi ke baais jism mein pani ki kami ko poora karne ke liye HEALTHMEASY YouTube Channel ki is video mein mahireen tib ki tajweez kardah aasaan tips par amal karen .
☀⏳☀ Sehri khanay ke liye jaldi utheen taakay waqt kam honay ki wajah se be sabri aur jaldi jaldi mein nah khana parre aur sehri se pehlay hi thora thora pani peetay rahen.
☀⏳☀ Rozay mein pyaas se bachney ke liye sehri mein kam az kam 2 glass pani piinaa routine bana len. Jabkay juice aur cold drink se daur rahen. Yeh aap ke wazan mein izafah karen gi.
☀⏳☀ Is ke sath sath sehri mein roti aur dahi ka bhi istemaal zaroor karen, is ke ilawa sehri mein choti alaichi ka bhi istemaal karne se pyaas se bacha ja sakta hai.
☀⏳☀ Aisi ghzaon ka istemaal karen jin mein pani ki miqdaar ziyada ho jaisay tarbooz, kheera, salad waghera. Yeh aap ke jism ki pani ki zaroorat ko poora karen ge.
☀⏳☀ Rozay mein zahar ki namaz ke baad thora aaraam zaroor karen. Koshish karen ke garmi mein ziyada der nah rahen aur ghar mein hi apna time guzaraian. Is ke ilawa dopehar mein agar so liya jaye to is se rozay mein thakawat mehsoos nahi hogi.
☀⏳☀ Aftaar ke waqt aik sath 7 ya 8 glass pani peenay se koi faida nahi hota balkay sehat ke liye nuqsaan da bhi ho sakta hai.
☀⏳☀ Roza, khajoor aur 2 glass pani ke sath aftaar karen.
Raat mein namaz taraveeh aur doosri ebadaat ke liye jayen to pani ki bottle sath le kar jayen.
☀⏳☀ Roza aftaar karne ke baad har do ghantay baad aik glass pani piyeen. Taakay jism mein pani ki kami ko poora kya jasakay.
Raat ko pani ki aik bottle –apne qareeb rakhen aur jab bhi aankh khulay pani zaroor piyen.
======================
Please Subscribe Here:-
WEBSITE:-
FACEBOOK:-
TWITTER:-
GOOGLE+:-

——————————————————————————-

HealthMEasy channel is about all general health related issues in Urdu / hindi, Urdu Totkay, Hindi totkay, Health News in Urdu, health tips, beauty tips & ghareloo totkay, Islamic Knowledge in Urdu.Cooking Recipes in Urdu. We also provide the information about vegetable benefits in urdu, sabzion ke faide, fruits benefits for health, phalon ke faide,
We also discuss life issues like… How to live a happy and healthy life in urdu.
We provide general information about your health for more information and treatments please contact your doctor.

For more videos please subscribe

—————————————————————————–
Health Disclaimer:
The information on this channel is designed for educational purposes only. It is not intended to be a substitute for informed medical advice or care.

You might also like